Monday, January 12, 2009

........! ...........!

aaaj aik benaam si udaasi, wehshat aur becheni si he, bhtttttttt arsay baad ye kefiat hui,

acha he! kbhi kbhi insan ko bilawajah bhi rona chahiye!

aaaj ali bhai ka interview prha,
it said k ''budha ki maaa bhi yahi chahti hogi k usska beta khush rahe lekin uski aftaad tabbaa ne usse chen se na bethne dia aur wo janglon mai ja nikla!''

Mufti ji khte hen k
''aaj mera beta shehr k farzanon ki nazar mai lok tamasha bana hua he''

Pata nahi meri maa kia khti hogi...!

U knw wat bloggie, I am not the same one,
waqt ne haalaat ne rawaiyon ne bht Muhtaat kr dia he....!
Ab mjhe dar lagta he kaheen bht andar,
ab mjh mai uss qadar pukhta yaqeen nhi he, meri ''gaeti'' mar rahi he.......!

mjhe bht khof ata he, yaar blog mjhe apna aap bht pyara he,
aur hona bhi chahiye, maybe aksariat k khayaal mai ye aik manfi jazba he,
lekin mjhe to ye bht masbat lgta he..!
mjhe apne andar ki gaeti bht aziz he, I dnt wanna loose it,
I want ma free spirit back..!

Ghaliban logon ko ehsaas bhi nhi hota hoga k unn ki choti choti baton se kitna farq par jata he,
koi dunya se badzan ho sakta he,
kisi ki gaeti mar sakti he...,
kisi subak raftaar ko upni uraan pe qaed lgani par sakti he...,
mehez shikari parindon ki wajah se..!

6 comments:

umair said...

"gaeti"???what does it mean?

Y@mna rehman khan...! said...

the word Gaeti means dunya...!
but , she is a charachter of "Dastak na do" written by Altaf fatima... gaeti is a symbol to me, a symbol of life !

umair said...

thanks!

Amna Amjad said...

Very nice blogiee Yamna...

Anonymous said...

Very Nice blogiie Yamna...

Y@mna rehman khan...! said...

oho, to aap janaba bhi hen blog par, kabse hen muhtarma....?
[:grin]