Thursday, January 29, 2009

. . . . . . . . . . . . . . . . .

blog, dost itni bari rehmat hote hen,
thakan aur asaab k tnao k baice jism toot raha tha,
fatima se baat hui to yun laga jese meri ragon ko jo kisi guche ki manind ulajh gai theen,
koi ahista ahista suljha raha ho,
wo tanao jo meri kamar se brhta brhta kandhon aur phr gardan ki taraf travel kar raha tha,[ aur yun lagta tha k jese meri aik aik rag ko koi churion se kaat rha ho, ]
jese fatima se baat krne k doran ahista ahista dissolve ho gaya.....!



kal ka din bht ajeeb tha, sari hisyaat goya so gai theen, sochne samajhne aur mehsoos krne ki salahiat khtm ho gai thi, [ abhi bhi mai kuch bhi mehsoos nhi kr pa rhi, kam az kam wo nhi jise mehsoos krna bnta he]
mai itni normal bethi hun blog, k mai bata nhi sakti,

fatima khti he k
jab sahaba ikram ko jalti ret par lite dete thay kufaar, to wo mar kion nhi jae thay........?
isliye k Allah bara rehman he, aur wo kisi par uski sakat se ziada bojh nhi dalta, wo unse wo hes hi cheen leta tha, aur wo jalti ret ki tapish ko bhi seh jate thay.


aur mai jo k, aik aam film par ghanton roti hun, jisko khayaal mai bhi kbhi apnon se bicharne ka khayaal ata tha to ghanton roti aur darti rehti thi,
iss qadar mutmaein aur razi ba raza bethi hun, k ye itminaan mere liye baice e pareshani he..!

na mai cheekhi, na shor machaya, na uss taur roi dhoi, aur na hi mar gai,

I know it all, But the realization z not coming over,
cheezen mere zehn mai fix nhi ho raheen, mene kbhi koi death dekhi nhi,
mjhe to andaza bhi nhi ho pa rha..!

shaid mai janaza dekh leti to realize to ho jata,
mai gham to mana leti apne taur,
mjhe itna to andaza ho jata, k mai kia cheez kho chuki hun,
mai jo poore ghar mai dada abu ki sabse ladli thi, mai hi na phnch saki .....!

But
''the very number of your hairs are numbered....!''

so jo cheez meri qismat mai na thi, usse mai bawajood koshish, kese pa sakti thi...!

maybe thore dinon mai I shall realize...!

3 comments:

Amna Amjad said...

Everything will be alright Yamna ..INSHALLAH...jese jana hain use jana hain......na tumhain mere liye rukhna hain na mujhe tumhare liye hum sab ka number ana hain yaar par kisi apne ko khona ufffff.....ye takleef main samjh sakhti hoon..tum achi tarah ro lo ye tumhare liye behtar hain..

Y@mna rehman khan...! said...

haa, kia keh sakti hun..!

Anonymous said...
This comment has been removed by the author.