Friday, February 6, 2009

.............,

yaaar blog
bari khush hun,
kal sahir ludhianvi ki kulyaat lai,
bari sasti mil gai kitaab.....!
:grin

aur kuch khaas he nahi khne ko,
soch rahi hun, Gibran ko hi share kr lun,
magar phla qarz sahir ji ka bnta he,

wese amreeta preetam sahiba ka likha deebacha bara pasand aya share karungi kbhi.......!

aik shair jo mudat se dil ki rajdhani pe raj kr rha he
aur kitab k pehle safhe par ibarat k taur darj he

''dunya ne tajarbaat o hawadis ki shakal mai
jo kuch mjhe dia he, wo lota rha hun mai''

2 comments:

umair said...

salam
i have got the perception that u are inclined towards nazm than ghazals....am i right?and poets u have read already i mean if u could name them.

Y@mna rehman khan...! said...

yeah, I like nazams more,
ghazals se itna jaldi affiliate nhi kar pati khud ko, han albata kuch ashaar itne faseeh o baleegh hote hen, k kai nazmen unn do misron par waar di jaein..!

Mene ziada nhi prhi poetry, Faiz aur sahir ko ziada prha he,
Javed akhtar sahab ka kalaam bhi kafi pasand he, baqi aur bhi kuch shauuraa ka kalaam nazar se guzra he, Ghalib ko bhi prhne ki koshish ki thi, kitna pale para ye to waqt btayega...!