Friday, April 17, 2009

Herat kada.... Ashfaq Ahmad sahab

Since I had to return these two books, so on emergency and previosly done laziness basis
you are getting something out of ma two very favourite books....!
Back to back, ball to ball, hit after hit :grin

Heratkada, Dramon pe based book he. aur sare hi dramay ese k aik se barh kar aik...!
What is it that is not touched in this book, lovely.......!


Farar
Aalia: Ye kesi ajeeb o ghareeb matti he-kahan se aa pari aap k jooton par?
Kaleem: Mai nhi khta tha tjhe----- Wahan Pashmina he, mere bache hen- Meri rooh aur tamanaoun k janasheen ----- Shudam aur Gulla jan---- Pashmina aur mai do nhi hen, Aik hi awaaz ki baazgasht hen- Hum donon ------ Aalia I am sorry.



Bazghala aur bacha zaagh ka bhi kuch hissa hazir he,

Shah:
Ya Rabul aalameen, Ya Zuljalal, Ae mere Rab, mere Malik
Ye majboor mehez teri azmaishgah mai hazir he aur apne saath apne bete ko isliye laya he k maslak e ibrahimi par amal kare, Mujh praganda o sarguzishta sarisht mai itni Qooat-e-Eeman to nhi k iss zaaghzaade ko mehez teri razaa-o-rughbat kliye peh kar doon- Par Qadir-o-Aadil Aarzoomeri yahi he k tu iss kawe k bache ko, k bht shor machata he, Qurban Ali ki jagah qabool frma le- Baar Ilha iss kawe k bache ko qabool kr-Aur uss bazghale ko chor de , Apne habeeb k sadqe, Uss kaali kamli wale k sadqe- Mujhe sharamsaar na kar------ mujhe sharamsaar na kar-



Aur mera most favourite,
Neeli chirya
Faheem: Jab mai chota tha sameera---- to maine aik dafaa aik chirya pakar li thi. Mjhe uss chirya ka khaaakstari rang itna bura laga k maine ----- maine usse neeli siyahi se rang kr chor dia ---- janti ho phr kia hua?

Sameera: Kia.?

Faheem: Jab wo apni rishtedaar chiryon mai phnchi to thongen maar maar kar sabne usse lahoo luhaan kr dia ---- Yahan srf khaakstari badrang chiryan zinda reh sakti hen---
Mai Neeli chirya hun --- Mai apne anjaam se waqif hun.

I dote on this piece of writing, more than awesome..!


No comments: