Thursday, November 27, 2008

ISS SHEHR E KHRABI MAI GHAM E ISHQ K MARE.........



...........kia zroori he ye, k insaan haalat k agay sar jhukaye,
bas maslehaton ki bunyaad pe zindagi ko yunhi guzaare chale jana,
kia zaruri he k insaan bas khaksteri chirya ban k hi zindagi guzare, neeli chirya bnne se khof khaye,
cheezon ko apni hi nazar se kion na dekhe
zindagi se hallaat se maashre se bhir kion na jaye...,
takra kion na jaye,
aur kia hi khoob ho k takra k paash paash ho jaye...!

Tu ne deewana bnaya to mai deewana bana.................
ab mjhe hosh ki dunya mai tamasha na bana

aur javed akhtar sahab ne kaha k
tum mareez e danai, maslehat k shedai raahe gumrahan kia he, tum na jaan paoge...

haye,

woh kab meri baat sunain ge

Mujh say kahain gay
Jaao apni raah lo raahi
hum ko kitnay kaam paray hain


AUR HABIB JALIB NE KAHA THA....!

ISS SHEHR E KHRABI MAI GHAM E ISHQ K MARE.........
ZINDA HEN, YAHI BAAT BARI BAAT HE PYARE.....!

SAHI KAHA THA

No comments: