Banjara
Main banjara
waqt k kitnay shaharon say guzra hoon
Lekin
waqt k is shahar say jatay jatay mur k daikh raha hoon
soch raha hoon
tum say mera yeh naata bhi toot raha hai
tum nay mujh ko chora tha jis shahar main a kar
waqt ka ab woh shahar bhi mujh say choot raha hai
Mujhko bidaa karnay aye hain
is nagri k saray baasi
woh saray din
jin k kandhay per soti hai
ab bhi tumhari zulf ki khushbu
saray lamhay
jin k mathay per hai roshan
ab bhi tumharay lams ka teeka
nam aankhon say daikh rahay hain
gum sum mujhko daikh rahay hain
mujhko in k dukh ka pata hai
in ko meray gham ki khabar hai
Lekin mujhko hukam-e-safar hai
Jana ho ga
Waqt k aglay shahar mujhay ab jana ho ga
Waqt k aglay shahar k saray bashinday
sub din sub ratain
jo tum say nawaqif hon gay
woh kab meri baat sunain ge
Mujh say kahain gay
Jaao apni raah lo raahi
hum ko kitnay kaam paray hain
jo beeti,so beet gayee
ab woh batain kyun dohratay ho
kaandhay per yeh jholi rakhay
kyun phirtay ho,kya patay ho
Main bechara
Ik banjaara
Awara phirtay phirtay jub thak jaaon ga
tanhayee k teelay per ja kar baithon ga
Phir jaisay pehchaan k mujhko
Ik banjara jaan k mujhko
Waqt k aglay shahar k saray nanhay munnay bholay lamhay
nangay paaon
dauray dauray,bhagay bhagay a jayen ge
Mujhko ghair k baithain ge
aur mujh say kahain ge
"Kyun banjaray
Tum to waqt k kitnay shaharon say guzray ho
un shahron ki koi kahani humain sunao"
Un say kahon ga
"Nanhay lamho
Aik the raani"
Sun k kahani saray nanhay lamhay
ghamgeen ho kar mujh say yeh poochain gay
Tum kyun unk shahar na ayee
Lekin unko behla loon ga
Un say kahon ga
Yeh mat poocho
Ankhain moondo
Aur yeh socho
"Tum hotin to kaisa hota
Tum yeh kehtin
Tum woh kehtin
Tum us baat per hairaan hoti
Tum us baat per kitna hanstin
Tum hotin to aisa hota
Tum hotin to waisa hota".....
..
Dheeray dheeray
Meray saray nanhay lamhay
so jayen ge
Aur main
Phir haulay se uth kar
Apni yaadon ki jholi kandhay per rakh kar
Phir chal doon ga
Waqt k aglay shahar ki jaanib
Nanhay lamhon ko samjhanay
Bholay lamhon ko behlanay
Yahi kahani phir dohranay
TUM HOTIN TO AISA HOT
TUM HOTIN TO WAISA HOTA
i shared this poem with a friend of mine whom i was talkin to after a very long time,
and dunno wen i finished reading it
we were half laughing half cryin.......!
ahhhhhhhhh!
this poem goes so deep in the heart....!